Aakhir main kaun hun....
kya main ek phaili hun,
koi kehta hai khushmijaaz hun
to koi kehta hai nadan hun,
aakhir main kaun hun........
kisi ki khushi ka hissa hun,
to kisi ki aankho main khatakta chehra hun
kai kehte hain main bindaas hun,
to kisi ke liye bewajha preshaan hun,
aakhir main kaun hun.....
muskurana meri adaa hai,
ispe kai log fida hai,
jb aaine main dekhti hun,
to khilkhila ke hasti hun,
poochti hun khud se
aakhir main kaun hun.....
khana,peena or sona mera shok hai,
pdne se sakhat nafrat
per kalam meri dost hai.
apne gusse se mujhe khud der lagta hai,
fir kya dost or kya dushman,
sub praya sa lagta hai.
kai kehte hai jinda dil insaan hun,
to koi kehta hai main ek pheili hun,
aakhir main kaun hun.......
No comments:
Post a Comment